Sunday, November 27, 2011

Badhti hunn mai har roz thoda thoda :D







Aaj hunn yaha phir andheke anjane rahon par
Mai khud na jaanu, ki mudna hai mujhko kis dagar?

Darti hunn aur bade hone se, sab kuch jaanne aur samajhne se,
Khair, Thodi mushkil ke sath hi sahi, ek aur manzil par karleti hunn

Sapne toh jaise  mere har lamhe kuch badh se jaate hain
Dagmagate hi sahi, hum har seedhi chadh jaate hain

Chahun na chahun sabke munn ki samajhleti hunn.
Apno ke faisalon ko , apne se aage rakh deti hunn

Kabhi Kisi ke muskurahat mai apni khushi dhundh leti hunn
Toh kabhi kisi ko khush karne k liye kuch bhi keh deti hunn.

Bado ki daat mai unka chipa har pyar dekh leti hunn
unke banaye Niyam pasand aayein na aayein follow karleti hunn.

Changes are for good yeh maanna seekhliya,
Sheeshe mai dekh khud ko sharmana bhi seekh liya :P

Andhero se dar lagta hai aaj bhi
Gabrati hunn kal na kho jaun, bheed mai samaj ki.

Koun hoga sath mere kal, Tut na jaun kuch aur aage badhkar
 kya  nibhapaungi sabkuch, bharosa karrahi bus khud par.

Intezar hai bus un hatho ka, jinhe tham kar hum chaldein
zindagi ke second phase ki shuruvaat kar dein :D

Sunday, November 6, 2011

WOH BHOLI si Ankhein

Woh bholi si Ankhen, woh pyara sa chehra
Na jaane hum unme, kya dekhte hain

 Kabhi khwaab hain, toh kahin parchayiyan hain.
Ajab si kashis hai, anjaani si gehrayiyaan hain.

Jab bhi unko sochte hain, kho se jate hain hum kahin
bayaan karna hai mushil, par woh lamhe hote hain haseen

Unjale hote hain har taraf, andhere mit se jaate hain
Apni har pareshani ko bhool, hum yuhi muskurate hai

kabhi hasti, kabhi udass, toh kabhi hairaan hoti hain woh akhein
najaane koun sa dard hain, ki pareshaan hain woh ankhein

ba't lenge sari mushkilein hum, kabhi ek mauka toh dekar dekho
shayad nikaal payein hum bhi koi hul, humse keh kar toh dekho

Kya rakkha hai duriyon mai, kabhi toh pass aao
koun si hai woh seemayein , hume bhi  toh batao

Bina shart ke chaha hai tumko, bharosa na kabhi todenge
Ek baar hath badha to do, kabhi tanha na tumko chodenge.

Woh bholi si Ankhen, haye.... woh pyara sa chehra
Na jaane hum unme Aisa kya dekhtein hain !!!


------ My first hindi poem :D